Maa...........

Karuna ka sagar hai
Mamta ki muhrat hai
Hass ke har dukh sehne wali
Devi hai maa

Aakhon me pyaar
Santan ke liye dulaar
Har baat par ishwar se ladne wali
Masoom hai maa

Din bhar kaam
Sare ghar ka bhar
Bina shikayat kiye
Kartavya nibhati hai maa

Duniya bin maa ke
Soch ke pare hai
Sara ye sansar
Khali sa lage hai

Maa tere bina
Hame jina nahi aata
Tere hath ki roti ke alawa
Hame khuch nahi bhata

Har kamyabi maa
Bin tere hai adhoori
Har kadam par
Tera sath hai jaroori

Jiss ungli ko tham ke
Chalna sikha tha
Aaj ussi se chhoot jana
Kya yahi likha tha

Teri baaten yaad aayegi
Taro ke beech aasman main
Jab tu muskuraegi
Tera ehsaan maa hum
Kabhi chucka nahi payenge
Bas ek umeed hai
Agle janam tujhe hi
Apne maa ke roop main payenge




This poem is dedicated to everyone one who love their mother. She is the most beautiful and precious gift a person can have.... life without her is too scary to imagine



Comments

Popular Posts